aap ka dil is tarah kyunkar hua mom tha kal aaj kyon patthar hua sochiye to ye bhi koi baat hai puchhte hain haal kyon abtar hua aankh se jo karb ka qatra gira ek bewa ke liye gauhar hua parwarish to us ki ki thi naz se mil gai dulhan to wo bahar hua aaj mahngai ne be-bas kar diya mehman aae ki dard-e-sar hua maut ka us dam mujhe aaya yaqin jab andhera qabr ke andar hua nekiyan meri unhon ne chhin lin aur main ruswa sar-e-mahshar hua ahl-e-europe kah rahe hain fakhr se dil munawwar din mein aakar hua laut kar kahte hain wo kis shan se jo bhi hona tha hua behtar hua ruh nikle sabz gumbad ke qarib hind mein jina bhi mushkil-tar hua kuchh to wusat ho gai hasil 'habib' panw phailane ko apna ghar hua