aap se aap ayan shahid-e-mani hoga

aap se aap ayan shahid-e-mani hoga
ek din gardish-e-aflak se ye bhi hoga

aankhen banwaiye pahle zara ai hazrat-e-qais
kya inhin aankhon se nazzara-e-laili hoga

shauq mein daman-e-yusuf ke udenge tukde
dast-e-gustakh se kya dur hai ye bhi hoga

lakhon is husn pe mar jaenge dekha-dekhi
koi ghash hoga koi mahw-e-tajalli hoga

husn-e-zati bhi chhupae se kahin chhupta hai
sat pardon se ayan shahid-e-mani hoga

hosh udenge jo zamane ki hawa bigdegi
chaar hi din mein khizan gulshan-e-hasti hoga

aur umdega dil-e-zar jahan tak chhedo
ye bhi kya koi khazana hai ki khali hoga

dil dhadakne laga phir subh-e-judai aai
phir wahi dard wahi pahlu-e-khali hoga

ye to farmaiye kya hum mein rahega baqi
dil agar dard-e-mohabbat se bhi khali hoga

ek chullu se bhi kya 'yas' rahoge mahrum
bazm-e-mai hai to koi sahab-e-dil bhi hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close