aawara bhaTakta raha paigham kisi ka

aawara bhatakta raha paigham kisi ka
maktub kisi aur ka tha nam kisi ka

hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr
taklif kisi ke liye aaram kisi ka

kuchh logon ko rukhsat bhi kiya karti hai zalim
rasta bhi taka karti hai ye sham kisi ka

ek qahr hua karti hai ye mahfil-e-mai hai bhi
jab hont kisi aur ka ho jam kisi ka

muddat hui dube hue khwabon ka safina
maujon pe chamakta hai magar nam kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close