ab shahr mein aqdar-kushi ek hunar hai fan jurm hai mear-kushi ek hunar hai dushman se to kya haq-e-adawat ka gila jab yaron ke liye yar-kushi ek hunar hai kya kya hai nadamat unhen ab apni rawish par kahte the jo kirdar-kushi ek hunar hai jis daur mein ho lafz ki hurmat ki tijarat us daur mein afkar-kushi ek hunar hai khatir se jo karna padi kaj-fahm ki taid lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai hairat hai ki wo fan ke parastar hain 'anjum' jin ke liye fankar-kushi ek hunar hai