ab ye sifat jahan mein nayab ho gai hai

ab ye sifat jahan mein nayab ho gai hai
malmal badan pe us ke kam-khwab ho gai hai

koi pata de us ko meri kitab-e-jaan ka
duniya ke sath wo bhi ek bab ho gai hai

phulon-bhari zamin ho khushbu-bhari hon sansen
ye aarzu bhi meri kya khwab ho gai hai

main bas ye kah raha hun rasm-e-wafa jahan mein
bilkul nahin miti hai kamyab ho gai hai

takmil pa raha hai ye kis ke ghar ka naqsha
diwaren uth chuki hain mehrab ho gai hai

chashme ubal rahe hain dasht o jabal se kaise
kya ye zamin itni sairab ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close