agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae

agar dil ishq ke anwar se mamur ho jae
to phir ye zarra khud rashk-e-charagh-e-tur ho jae

tum apne jalwa-e-naukhez par yun naz karte ho
agar mera dil-e-khuddar bhi maghrur ho jae

faqat is raaz ko ahl-e-mohabbat hi samajhte hain
mayassar aae jitna qurb itna dur ho jae

mujhe ye zid ki un ke ru-e-zeba se naqab utthe
unhen ye zid ki jalwa aur bhi mastur ho jae

wo mere dil ke gulshan mein agar aa jae ai 'jauhar'
to har ek na-shagufta ghuncha rang-o-nur ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close