agar wo jhut bhi bole to hum sach man lete hain naqabon mein chhupe chehron ko hum pahchan lete hain zarurat tir ya talwar ki un ko nahin hoti nazar ki mar se wo aashiqon ki jaan lete hain wahan to jis ko bhi jaana hai khali hath jaana hai na jaane log phir kyon is qadar saman lete hain inayat ki karam ki ek nazar karte hain badle mein kabhi wo jaan lete hain kabhi iman lete hain irade par atal rahte hain ai 'aghaz' hum apne wahi sab kar guzarte hain jo man mein than lete hain