agarche mujhko judai teri gawara nahin

agarche mujh ko judai teri gawara nahin
siwae is ke magar aur koi chaara nahin

khushi se kaun bhulata hai apne pyaron ko
qusur is mein zamane ka hai tumhaara nahin

tumhaare zikr se yaad aae kya ghata ke siwa
hamare pas koi aur istiara nahin

ye iltifat ki bhik apne pas rahne de
tere faqir ne daman kabhi pasara nahin

mera to sirf bhanwar tak safina pahuncha hai
tujhe to dubne walon ne bhi pukara nahin

har ek rabt tere waste se tha warna
bhare jahan mein koi aashna hamara nahin

jo teri did ne bakhshe wahi hain zakhm bahut
ab apne dil mein koi hasrat-e-nazara nahin

bana sakun jise jhumar tumhaare mathe ka
falak pe aaj bhi aisa koi sitara nahin

chalae jao 'qatil' apna karobar-e-wafa
jo is mein jaan bhi jae to kuchh khasara nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close