ai ahl-e-mohabbat kya kahiye kya chiz mohabbat hoti hai

ai ahl-e-mohabbat kya kahiye kya chiz mohabbat hoti hai
kuchh gham ki haqiqat hoti hai kuchh dil ki tabiat hoti hai

kul zist alam ta-zist alam yak waqfa-e-dam taskin-e-alam
sunte hain qayamat aati hai jab us se bhi fursat hoti hai

uf aayat-e-sajda husn-e-ada jalwe ke liye parda bhi utha
betab jabin jhuk jati hai kuchh aisi bhi surat hoti hai

kuchh mast nigah-e-saqi hai kul mai mein hai jo kuchh baqi hai
mai-khane ke bahar kuchh bhi nahin mai-khane mein jannat hoti hai

duniya se alag ho kar 'kaifi' duniya se khafa duniya ka gila
ummid agar baqi na rahe tab yas mein rahat hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close