ai nasim-e-sahari hum to hawa hote hain

ai nasim-e-sahari hum to hawa hote hain
dam jo ghutta hai mohabbat mein khafa hote hain

hum faqirana ghazal kahte hain ai shah-e-jahan
khair ho khair ho masruf-e-dua hote hain

bahr-e-alam mein ye insan hain manind-e-habab
dam mein bante hain ye dam-bhar mein fana hote hain

hum gharibon ko na is bazm se uthwa ai but
sohbat-e-am mein khasan-e-khuda hote hain

hum mein aur un mein badha rabta 'akhtar' itna
hum pe wo sadqe hain hum un pe fida hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close