aisa lagta hai kisi gumbad se takrai na thi warna kab aawaz meri laut kar aai na thi tha teri qurbat ki aankhon mein har ek nashsha magar nind se jagi hui yaadon ki angdai na thi hum ko andha kar gai thi ek gahri raushni zulmaton ki zad mein aa kar aankh pathrai na thi qaid tha kyun chand sadiyon se hisar-e-abr mein kyun ujalon ne use poshak pahnai na thi jal gaya apne hi andar ki hararat se badan surajon ne hum pe koi aag barsai na thi tere sine mein tera khun barf kaise ho gaya kya tere andar hararat ki tawanai na thi