ajab nuqush hain chehra to aisa tha hi nahin ye mera aks nahin hai ki aaina hi nahin likhun wo baat ki shiddat se ho tujhe mahsus mere qalam mein shab-e-hijr ki siyahi nahin phira raha hai zamane se raston ka tilism gharib-e-shahr abhi mo'atabar hua hi nahin khurach le zehn se sare tassuraat ki ab teri bahaar ka mausam to aaega hi nahin hazar qurb ki khushbu ne baat ki 'ashhar' wo kya safar tha musafir to kuchh khula hi nahin