ajib rang liye aaj milne aaya wo zara si der mein lagne laga paraya wo wahi gali hai wahi sham hai wahi wahshat par us dariche mein chehra na jhilmilaya wo na jaane bhig rahi hain abhi se kyun aankhen abhi na sham hui hai na yaad aaya wo rakha dil is ne bharam kuchh to wahshaton ka teri jab us ko pas bulaya to pas aaya wo nahin thi sahl mere sath zindagi lekin kabhi na harf-e-shikayat zaban pe laya wo mizaj us ka bataen kisi ko kya 'khawar' kahin pe dhup laga hai kahin pe saya wo