andoh-e-besh-o-kam na gham-e-khair-o-shar mein hai raaz-e-hayat wusat-e-fikr-o-nazar mein hai wo masti-e-nazar hai usi dil ki pasdar jo dil ba-ru-e-kar gunah-e-nazar mein hai us ka khayal us ka tasawwur usi ki yaad koi nahin nazar mein wo jab se nazar mein hai kaif aashna thi zist kabhi jis ki did se wo chashm-e-mast aaj bhi meri nazar mein hai kaisa tilism-e-husn hai us jalwa-gah mein jalwa nazar mein hai kabhi parda nazar mein hai kya shai ata-e-gham ki hai kaifiyyat ai 'sahab' khalwat harim-e-dil mein hai mahfil nazar mein hai