apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main

apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main
chaak-e-dil chaak-e-gareban se siwa rakhta hun main

ghaznawi hun aur giraftar-e-kham-e-zulf-e-ayaz
but-shikan hun aur dil mein but-kada rakhta hun main

hai khud apni aag se har paikar-e-gul tabnak
le hawa ki zad pe mitti ka diya rakhta hun main

main ki apni qabr mein bhi zinda hun ghar ki tarah
har kafan ko apne gird ehram sa rakhta hun main

dasht-e-ghurbat mein hun aawara misal-e-gard-baad
koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta hun main

mera saya bhi nahin mera ujale ke baghair
aur ujale ka tasawwur khwab sa rakhta hun main


Please share if you liked this!!!
2020-05-27 11:43:43 PM

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close