apni KHabar nahin hai ba-juz is qadar mujhe

apni khabar nahin hai ba-juz is qadar mujhe
ek shakhs tha ki mil na saka umr-bhar mujhe

shoalon ki guftugu mein saba ke khiram mein
aawaz de raha hai koi ham-safar mujhe

shayad unhin ka ijz mere kaam aa gaya
jin doston ne chhod diya waqt par mujhe

shab ko to ek qafila-e-gul tha sath sath
yarab ye kis maqam pe aai sahar mujhe

hanste rahe falak pe sitare zamin pe phul
achchha hua ki umr mili mukhtasar mujhe

muddat ke baad us ne sar-e-anjuman 'zamir'
dekha nigah-e-am se aur khas kar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close