apni surat ka hi didar dobara kar len dubte chand ka hum phir se nazara kar len zindagi itni ghanimat to nahin jis ke liye ahd-e-kam-zarf ki har baat gawara kar len shaikh jis ahd ki deta hai misalen hum ko kaise us ahd ko hum zinda dobara kar len umr bhar ahl-e-tarab lut ke sahil ke maze kya jawan-mardi hai tufan se kinara kar len aasmanon pe to insan nahin rah sakte jaise mumkin ho zamin par hi guzara kar len ab to bimar-e-mohabbat ki hai haalat nazuk chaarasazon se kaho wo koi chaara kar len jis ke iman mein hi insan se ho nafrat shamil kis tarah aise sitam-gar se guzara kar len ab to is shahar mein aisa koi insan nahin jis se mil kar hi kabhi zikr tumhaara kar len dub jate hain ghadi pal mein sitare 'aslam' kis tawaqqo pe use aankh ka tara kar len