apni wajh-e-barbaadi jaante hain hum lekin kya karen bayan logo

apni wajh-e-barbaadi jaante hain hum lekin kya karen bayan logo
maslahat-parasti par har qadam raha hum ko jurm ka guman logo

khair hum to kante the aur hamein kuchalna bhi waqt ka taqaza tha
phul jin ko samjhe the ab suna hai un se bhi hain wo sargiran logo

jis kai ishq ki hum par tohmaten lagate ho us hasin paikar par
hum ne dil hi khoya hai tum jo dekhte shayad war dete jaan logo

kya sabab bataen hum nala-e-shabana ka puchh lo in aankhon se
is nigah-e-jadu mein apne har tabassum ki hain kahaniyan logo

waqt ki nazakat ka aaj jo taqaza hai jurm kal na kahlae
tod do khamoshi ke aahani hisaron ko khol do zaban logo

sher kya ghazal kaisi ai 'hasan' ye fan hai jis ko kuchh hi samjhenge
dhundh pao to dhundho in chhupe ishaaron mein apni dastan logo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close