asbab kahan jaan-e-jahan dekhte rahna khali koi dam hai ye makan dekhte rahna ta-umr tere shahr mein rahna bhi nahin hai milti hai kahan ja-e-aman dekhte rahna palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat rakhta hun main khanjar pe zaban dekhte rahna aansu mere bachchon ki tarah khun se khelen kuchh khel nahin ghar ka ziyan dekhte rahna ek arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf phir qissa-e-alam hai dhuan dekhte rahna bauchhaar hai tiron ki wo rahwar akela kitna hai shitabi ye saman dekhte rahna duniya kisi maqtal mein hai zindon ki gawahi jate hain kahan pir o jawan dekhte rahna hogi kisi manjdhaar ke sine pe meri naw dariya hai mere sath rawan dekhte rahna tarik ufuq par wo ajab shan se nikla 'khurshid' se raushan hai jahan dekhte rahna