aur khul ja ki maarif ki guzargahon mein

aur khul ja ki maarif ki guzargahon mein
pech ai zulf-e-siyah-fam abhi baqi hain

ek subu aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshan par
kuchh nuqush-e-sahar-o-sham abhi baqi hain

thahar ai baad-e-sahar us gul-e-nau-rasta ke nam
aur bhi shauq ke paigham abhi baqi hain

ai harifan-e-subu gosh-bar-awaz raho
daman-e-wahi mein ilham abhi baqi hain

tul khinch ai shab-e-mai-khana ki sab kar-e-siyah
ba-hama lazzat-e-iqdam abhi baqi hain

aur abhi raunda nahin ai kaf-e-pa-e-tahqiq
dil mein sau tarah ke auham abhi baqi hain

ai sahi qad teri nisbat se sab unchi qadren
bawajud-e-rawish-e-am abhi baqi hain

hum mein kal ke na sahi 'hafiz'-o-'khayyam' 'zafar'
aaj ke 'hafiz'-o-'khayyam' abhi baqi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close