ba-nam-e-yar trahdar ai saba le ja ye aabju ye gol-o-sabza ye ghata le ja jo nam ko bhi sukun hai use utha le ja jo hosh uda hai to ye khak bhi uda le ja labon mein rabt nahin aankh hai magar sarshaar gulab rahne de khushbu ka aasra le ja bhari hai josh-e-chaman se numud-e-khush-badani surur bhi gila-e-jaan-gudaz ka le ja giran-baha hai ye daulat jo sun nawa-e-faqir dikha de ru-e-tabassum-numa dua le ja