baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar

baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar
dub jaega ye ghar kuchh hosh kar

khud-kushi hi masale ka hal hai kya
baam se wapas utar kuchh hosh kar

dasht ki jaanib chala to hai magar
sakht hai ye rahguzar kuchh hosh kar

ab kiya jazbaat mein gar faisla
roega tu umr bhar kuchh hosh kar

mat patakh zindan mein diwaron pe sar
khun se ho jaengi tar kuchh hosh kar

apni aazadi na de sayyaad ko
kat kar khud apne par kuchh hosh kar

jis ko 'tahir' teri kuchh parwa nahin
us ki chaukhat par na mar kuchh hosh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close