badal gaya hai sabhi kuchh us ek saat mein

badal gaya hai sabhi kuchh us ek saat mein
zara si der hamein ho gai thi ujlat mein

mohabbat apne liye jin ko muntakhab kar le
wo log mar ke bhi marte nahin mohabbat mein

main jaanta hun ki mausam kharab hai phir bhi
koi to sath hai is dukh-bhari masafat mein

use kisi ne kabhi bolte nahin dekha
jo shakhs chup nahin rahta meri himayat mein

badan se phut pada hai tamam umr ka hijr
ajib haal hua hai teri rifaqat mein

mujhe sambhaalne mein itni ehtiyat na kar
bikhar na jaun kahin main teri hifazat mein

yahan pe log hain mahrumiyon ke mare hue
kisi se kuchh nahin kahna yahan murawwat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close