baDh chala ishq to dil chhoD ke duniya uTTha

badh chala ishq to dil chhod ke duniya uttha
khud-bakhud josh-e-mai-e-nab se shisha uttha

dast-e-nazuk se zar-e-gul ka bhi uthna hai muhaal
ye to farmaiye kis wajh se toda uttha

jab pukare lab-e-jaan-bakhsh se wo mar gae hum
na-tawanon se na bar-e-dam-e-isa uttha

khaksaron mein nahin aise kisi ki tauqir
qadd-e-adam meri tazim ko saya uttha

yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko
tapish-e-shauq se har bar main baitha uttha


This is a great josh wali shayari. True lovers of dil mera toda shayari will love this. Please share if you liked this!!!