baDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur

badha jab us ki tawajjoh ka silsila kuchh aur
khushi se phail gaya gham ka daera kuchh aur

natija dekh ke mana mere masiha ne
kuchh aur dard tha mera hui dawa kuchh aur

main apne aap ko kis aaine mein pahchanun
ki ek aks mera kuchh hai dusra kuchh aur

agar kahin koi diwar samne aai
buland ho gaya pani ka hausla kuchh aur

kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai
dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur

natija dekhne sunne ke baad ye nikla
bayan-e-waqia kuchh amr-e-waqia kuchh aur

guzar muhaal na hota hamara basti mein
jo uthtin chhod ke diwaren rasta kuchh aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close