bagh hai bagh ki faza gum hai sans lene ko bhi hawa gum hai thair jaen to hai maqam-e-fana chal paden hum to rasta gum hai hum bhi maujud hain yahan tum bhi rabta darmiyan ka gum hai be-yaqini hai sab ke zehnon mein kya mayassar hai aur kya gum hai besha-e-zist se guzarne ko hausla tha so hausla gum hai ye sitara inhi khalaon mein ek din tum bhi dekhna gum hai