bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin

bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin
bahut hi chaha magar hum se khud-kushi na hui

kuchh is tarah se khayalon ne raushni bakhshi
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui

kisi ke dard ko tum jaante bhala kyunkar
khud apne dard se jab tum ko aagahi na hui

wo tirgi thi musallat faza-e-alam par
lahu ke dip jale phir bhi raushni na hui

main ji raha hun dil-e-murda le ke sine mein
ise to maut kaho ye to zindagi na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close