bahe hain ashk na ubhri hain siskiyan meri

bahe hain ashk na ubhri hain siskiyan meri
hawa sunati phiri hai kahaniyan meri

meri udasi ka jab bhi unhen hua malum
tumhaara puchhne aain saheliyan meri

ye ghar ke log chale jaenge pahadon par
tere khayal mein guzrengi chhuttiyan meri

na koi peng padi hai na phul aae hain
bahut udas hain kuchh din se tahniyan meri

kisi lakir pe jhunjhla ke rone lagta hai
bahut satati hain is ko hatheliyan meri

hawa ka kya hai udaegi pahle khushbu ko
aur us ke baad bikheregi pattiyan meri

phir is ke baad achanak hi ro pada wo shakhs
'qamar' wo bujh raha tha paheliyan meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close