bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna

bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna
saza se kam nahin hai khud ko apne ru-ba-ru karna

ajab simabiyat hai in dinon apni tabiat mein
ki jis ne baat ki hans kar usi ki aarzu karna

ibaadat ke liye tathir-e-dil ki bhi zarurat hai
wazu ke baad phir ashk-e-nadamat se wazu karna

ye wasf-e-khas hai kuchh aap se ba-wasf logon ka
hamein aata nahin hai aap ko lamhe mein tu karna

teri fitrat mein yun musbat ishaare dhundta hun main
kisi sahra ko jaise chahta hun aabju karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close