bahut roya wo hum ko yaad kar ke hamari zindagi barbaad kar ke palat kar phir yahin aa jaenge hum wo dekhe to hamein aazad kar ke rihai ki koi surat nahin hai magar han minnat-e-sayyaad kar ke badan mera chhua tha us ne lekin gaya hai ruh ko aabaad kar ke har aamir tul dena chahta hai muqarrar zulm ki miad kar ke