bana husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista bahar-surat khula ek kam-sukhan aahista aahista musafir rah mein hai sham gahri hoti jati hai sulagta hai teri yaadon ka ban aahista aahista dhuan dil se uthe chehre tak aae nur ho jae badi mushkil se aata hai ye fan aahista aahista abhi to sang-e-tiflan ka hadaf banna hai kuchon mein ki ras aata hai ye diwana-pan aahista aahista abhi to imtihan-e-abla-pa hai bayaban mein banenge kunj-e-gul dasht-o-daman aahista aahista abhi kyunkar kahun zer-e-naqab-e-surmagin kya hai badalta hai zamane ka chalan aahista aahista mein ahl-e-anjuman ki khalwat-e-dil ka mughanni hun mujhe pahchan legi anjuman aahista aahista dil-e-har-sang goya sham-e-mehrab-e-tamanna hai asar karti hai zarb-e-kohkan aahista aahista kisi kafir ki shokhi ne kahlawai ghazal mujh se khulega 'shaz' ab rang-e-sukhan aahista aahista