bana ke taj-mahal KHud use giraunga

bana ke taj-mahal khud use giraunga
mohabbaton mein baghawat hai kya dikhaunga

qalam laga ke adawat ke ped-paudon mein
jo shakh sabr ka phal de wahi uganga

utar chuki hai meri ruh mein shab-e-hijran
main us ko hijr ki mankuha ab banaunga

ghamon ki aanch par aansu ubaal kar apne
main apne zabt ki quwwat ko aazmaunga

chala hun baad-e-mukhalif main ek muddat se
na chhedo mujh ko wagarna tumhein rulaunga

karo na fikr sitaron ki chaal jo bhi ho
utha ke chand chakori ke pas launga

laga ke sine se main raston ke ye patthar
khizan mein git bahaaron ke gungunaunga

main tishnagi ko mitane ke waste sahra
labon se tere main ye aable lagaunga

bhanwar ke pairon mein hasrat ke bandh kar ghunghru
gar ikhtiyar mein hoga to main nachaunga

main ek mauj-e-'nasimi' hun bastiyan dil ki
sarab-e-dasht tere samne basaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close