band tha darwaza bhi aur agar mein bhi tanha tha main wahm tha jaane mera ya aap hi bola tha mein yaad hai ab tak mujhe wo bad-hawasi ka saman tere pahle khat ko ghanton chumta rahta tha main raston par tirgi ki ye farawani na thi is se pahle bhi tumhaare shahr mein aaya tha main meri ungli par hain ab tak mere danton ke nishan khwab hi lagta hai phir bhi jis jagah baitha tha main aaj 'amjad' wahm hai mere liye jis ka wajud kal usi ka hath thame ghumta phirta tha main
Please share if you liked this!!!