bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun jahan main jism tha tu ne wahan to sath diya wahan bhi aa ki jahan main tamam saya hun wo ek mod bhi is rah pe aaega ki jahan mila ke hath tu bolega main to chalta hun teri judai ka gham hai na tere milne ka main apni aag mein din raat jalta rahta hun gae wo roz ki tu bais-e-qarar thi jab teri jhalak se bhi ab to udas hota hun mere baghair hai mumkin kahan teri takmil mujhe pukar ki main hi tera kinara hun kabhi to dub sahi sham ke samundar mein ki main sada hi jawahar nikal laya hun