bataen kya ki aae hain kahan se hum kahan ho kar

bataen kya ki aae hain kahan se hum kahan ho kar
nishan ab dhundte-phirte hain ghar ka be-nishan ho kar

lubhane ko dil-e-shaida ke sari parda-dari thi
ayan ho tum nihan ho kar nihan ho tum ayan ho kar

hamari khak ke zarre fana ho kar bhi chamkenge
uruj apna dikhaen ge ye najm-e-asman ho kar

dil-e-awara kyun tujh ko khayal ku-e-jaanan hai
are nadan kahan ja kar rahega be-nishan ho kar

ye daur-e-mai-kashi har-waqt mahw-e-did rakhta hai
kahan aankhon mein ye ghaflat rahe khwab-e-giran ho kar

musalman ho ke tark-e-but-parasti ai maaz-allah
khuda ko hum ne pahchana hai shaida-e-butan ho kar

ye bar-e-masiyat manzil kadi aur sham-e-tanhai
chale hain kya samajh kar hum bhi ruswa-e-jahan ho kar

abhi kya jaane kya kya rang wo ai 'shauq' badlega
zamin par ek karega hashr barpa aasman ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close