bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain

bayan-e-haal ko arz-e-talab samajhte hain
wo log jin ka hai dawa ki sab samajhte hain

sahih ho ke ghalat hun yahi khata meri
ki main jo hun wo mujhe log kab samajhte hain

main jin ke wahm-o-guman ko farogh deta hun
mujhe haqir wo khud ke sabab samajhte hain

tamam aib mujhi ko dikhai dete hain
so mere dost mujhi ko ajab samajhte hain

sabaq hamein bhi mila hai koi zarur ki hum
jo kuchh na pahle samajhte the ab samajhte hain

zamin ho khushk to faslen nahin uga kartin
is ek baat ko dariya ke lab samajhte hain

kisi ki zat se waqif koi nahin 'rahat'
agarche sab yahan nam-o-nasab samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close