be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun sab haden hain phir bhi qaem kab se hairani mein hun shab ki tanhai mein mujh ko aisa lagta hai kabhi main hun ruh-e-zindagi go paikar-e-fani mein hun jagmagati mahfil-e-aflak mera aks-e-zat lau main hun anjum ki main suraj ki tabani mein hun subh-gahan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj bich dariya ke bhanwar hun aur jaulani mein hun sham-e-bazm-e-dil-baran hai meri dil-sozi ki zau main dil-e-ashiq ke khwabon ki gul-afshani mein hun log kyun is shahr ke itne pareshan-haal hain main ki khush-dil tha sada ka is pareshani mein hun main ki hun ek khush-fahm sada-lauh tifl-e-pir-sal aur phir ziddi bhi hun khush apni nadani mein hun kya khabar mera safar hai aur kitni dur ka kaghzi ek naw hun aur tez-rau pani mein hun husn-e-kul ka aarzu-mand is tunuk-jaani mein hun mere qad se jo bahut uncha hai us pani mein hun