be-Thikane hai dil-e-gham-ghin Thikane ki kaho

be-thikane hai dil-e-gham-ghin thikane ki kaho
sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho

han na puchh ek giraftar-e-qafas ki zindagi
ham-safiran-e-chaman kuchh aashiyane ki kaho

ud gaya hai manzil-e-dushwar mein gham ka samand
gesu-e-pur-pech-o-kham ke taziyane ki kaho

baat banti aur baaton se nazar aati nahin
is nigah-e-naz ki baaten banane ki kaho

dastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya
sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho

kuchh dil-e-marhum ki baaten karo ai ahl-e-ilm
jis se virane the aabaad us diwane ki kaho

dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai
jo azal se chhid gaya hai us fasane ki kaho

ye fusun-e-nim-e-shab ye khwab-saman khamushi
samri fan aankh ke jadu jagane ki kaho

koi kya khaega yun sachchi qasam jhuti qasam
us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho

sham hi se gosh-bar-awaz hai bazm-e-sukhan
kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close