bhale hi hast se nabud hota ziyan mera kisi ka sud hota main jis ki aarzu mein mar raha hun tasawwur mein to wo maujud hota jami hai maslahat ki barf warna hamara hausla barud hota hawas kyunkar tumhein bechain karti sukun-e-dil agar maqsud hota jo hum karte na azm-e-haq-nawai amir-e-shahr kyon namrud hota hasad ka tel hai tere diye mein ujala to na hota dud hota tilism aabaad hai shahr-e-takhayyul jise main sochta mashhud hota 'khalish' maslak hai aafaqi hamara kisi sarhad mein kyon mahdud hota