bharpur mohabbat ka elan mukammal hai us nim-nigahi ka farman mukammal hai ya dushman-e-jaan mujh par sach-much hai karam-farma ya meri tabahi ka saman mukammal hai kis chaw se ek basti jo hum ne basai thi dekha tha wahi basti viran mukammal hai zakhmon pe mere tu ne jis tarah namak chhidka is nim inayat ka ehsan mukammal hai har mod pe milta hai allah ka wo banda qalib mein jo insan ke shaitan mukammal hai ai 'saz' mere dil mein ab jaan nahin baqi go khun ka rag rag mein dauran mukammal hai