bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche

bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubbare bachche

in hawaon se to barud ki bu aati hai
in fazaon mein to mar jaenge sare bachche

kya bharosa hai samundar ka khuda khair kare
sipiyan chunne gae hain mere sare bachche

ho gaya charkh-e-sitamgar ka kaleja thanda
mar gae pyas se dariya ke kinare bachche

ye zaruri hai nae kal ki zamanat di jae
warna sadkon pe nikal aaenge sare bachche


This is a great bharosa shayari english. True lovers of thanda mausam shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sagar ke kinare shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!