bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya

bhul kar pahlu-e-ummid main aaya na gaya
jo pata hum ko bataya tha wo paya na gaya

qalam-andaz-e-fana hun meri waqat dekho
main hun wo harf-e-mukarrar jo mitaya na gaya

is takalluf pe kahan lutf ham-aghoshi ka
aap se pahlu-e-taswir mein aaya na gaya

wo ada aur thi ye aur hai phir aur sahi
be-niyazi se koi rang jamaya na gaya

is rukawat mein bhi nairang-e-dil-awezi hai
ruth jaane ki hai khubi ki manaya na gaya

de diya taq se aaina utha kar un ko
haal mujh se dil-e-hairan ka dikhaya na gaya

waraq-e-hashr lagaya hai adam ke pichhe
jab mera haal khamoshi se jataya na gaya

rabt-o-be-rabti-e-anfas se kuchh bhi na hua
ye ghubar-e-gham-e-dil tha ki udaya na gaya

bekasi-ha-e-tamanna se haya aane lagi
teri taswir ko sine se lagaya na gaya

dekhna charkh-e-jafa-kar ki majburi ko
is tarah hum ko giraya ki uthaya na gaya

ai 'wafa' aarzu-e-marg ne ji chhod diya
dast-e-ahbab se ab zahr bhi khaya na gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close