bikhere zulf rukh par kaun ye baala-e-baam aaya khayalon ki faza mahki bahaaron ka payam aaya mizaj-e-yar mein jab bhi khayal-e-intiqam aaya sar-e-fihrist apna hi gunahgaron mein nam aaya ajab hangama dekha hum ne saqi teri mahfil mein koi tishna-dahan uttha koi chhalka ke jam aaya giran-koshi mein afraazi tan-asani mein pamali mashaqqat surakh-ru utthi tasahul zer-e-dam aaya zuhur-e-sair-chashmi hi dalil-e-kaamrani hai mera pindar-e-na-asudgi hi mere kaam aaya ye misra de diya iqbaal ka kis shokh-fitrat ne samand fikr ke aage 'ziya' mushkil maqam aaya