chale the yar bade zoam mein hawa ki tarah palat ke dekha to baithe hain naqsh-e-pa ki tarah mujhe wafa ki talab hai magar har ek se nahin koi mile magar us yar-e-bewafa ki tarah mere wajud ka sahra hai muntazir kab se kabhi to aa jaras-e-ghuncha ki sada ki tarah wo ajnabi tha to kyun mujh se pher kar aankhen guzar gaya kisi derina aashna ki tarah kashan kashan liye jati hai jaanib-e-manzil nafas ki dor bhi zanjir-e-be-sada ki tarah 'faraaz' kis ke sitam ka gila karen kis se ki be-niyaz hui khalq bhi khuda ki tarah
Please share if you liked this!!!