chand kamre ki khiDki mein Thahra raha chandni raat jadu jagane lagi

chand kamre ki khidki mein thahra raha chandni raat jadu jagane lagi
chandni mere bistar talak aa gai aur aankhon se ninden udane lagi

yaad ki diary main ne kholi hai jab sukhe phulon se khushbu si aane lagi
tez aandhi si chalne lagi dard ki aur ek ek waraq ko udane lagi

khul rahe hain khayalon ke sab baadban kashtiyan sahilon ki taraf hain ruli
nilgun nilgun sina-e-ab par chandni ki kiran chamchamane lagi

mausam-e-gul ke mahke qadam aa gae dali dali dhanak rang aanchal ude
mere ganw mein chupke se aai saba yaad gulshan ki mujh ko satane lagi

budhe pipal ki chhanw mein tuta hua ek gharaunda hai mitti ka baqi abhi
meri bachpan ki ek ek kahani mujhe de ke aawaz wapas bulane lagi

meri sanson mein mahka kare hai koi dil ki dhadkan mein dhadka kare hai koi
aankh ki putliyon mein basa hai koi main jo ghabra ke palken jhukane lagi

aam ki mithi khushbu faza mein udi jaise kanon mein shahnaiyan baj uthin
jaise sajan ka aaya sandesa sakhi gori hathon mein mehndi rachane lagi

main ki giton ki jogan hun 'husna' sada fan ke sahra mein dar-dar bhatakti phirun
mujh ko manzil ki rahti hai har pal lagan ek jalan mere man ko jalane lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close