chand ko talab mujh ko khwab wapas kar diya din-dhale suraj ne sab asbab wapas kar diya is tarah bichhda ki agli raunaqen phir aa gain us ne mera halqa-e-ahbab wapas kar diya phir bhatakta phir raha hai koi burj-e-dil ke pas kis ko ai chashm-e-sitara-yab wapas kar diya main ne aankhon ke kinare bhi na tar hone diye jis taraf se aaya tha sailab wapas kar diya jaane kis diwar se takra ke laut aai hai gend jaane kis diwar ne mahtab wapas kar diya phir to us ki yaad bhi rakkhi na main ne apne pas jab kiya wapas to kul asbab wapas kar diya iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya