chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah

chand sa chehra nur ki chitwan masha-allah masha-allah
turfa nikala aap ne joban masha-allah masha-allah

gul rukh-e-nazuk zulf hai sumbul aankh hai nargis seb-e-zanakhdan
husn se tum ho ghairat-e-gulshan masha-allah masha-allah

saqi-e-bazm-e-roz-e-azal ne baada-e-husn bhara hai is mein
aankhen hain saghar shisha hai gardan masha-allah masha-allah

qahr ghazab zahir ki rukawat aafat-e-jaan dar-parda lagawat
chah ki tewar pyar ki chitwan masha-allah masha-allah

ghamza uchakka ishwa hai daku qahr adaen sehr hain baaten
chor nigahen naz hai rahzan masha-allah masha-allah

nur ka tan hai nur ke kapde us par kya zewar ki chamak hai
chhalle kangan ikke joshan masha-allah masha-allah

jama kiya ziddain ko tum ne sakhti aisi narmi aisi
mom badan hai dil hai aahan masha-allah masha-allah

wah 'amir' aisa ho kahna sher hain ya mashuq ka gahna
saf hai bandish mazmun raushan masha-allah masha-allah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close