chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi

chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi
apne tarik makanon mein jala hun main bhi

apne aslaf ki azmat se juda hun main bhi
apni tahzib ki mutthi mein daba hun main bhi

tum bhi girti hui diwar ko kandha de do
apne pairon pe isi tarah khada hun main bhi

meri khamoshi-e-lab ka hai sada se rishta
ye na samjhe koi be-saut-o-sada hun main bhi

koi dhunde mere chehre pe thakan ke aasar
waqt ke sath to ek umr chala hun main bhi

jaane kab kis ke sanwarne ka irada jage
is liye surat-e-aina raha hun main bhi

jhuk ke milne ki azal hi se hai fitrat 'shaiq'
garche sar-basta-e-dastar-e-ana hun main bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close