chehre se kab ayan hai mere iztirar bhi

chehre se kab ayan hai mere iztirar bhi
lekin main kar raha hun tera intizar bhi

shayad tujhe ho dastaras apne wajud par
mujh ko to is nazar pe nahin ikhtiyar bhi

milne lage hain ab to khushi ke libas mein
gham-ha-e-zindagi ka hai koi shumar bhi

ho lakh khub-ru koi apne tain magar
hota hai aks-o-aine par inhisar bhi

yakja hui hain husn ki sab us mein khubiyan
chehre pe tazgi hai nazar mein khumar bhi

lagta hai jaan-bujh ke aisa kiya gaya
tu ne banai chiz koi paedar bhi

mahzuz hum bhi honge jo fursat kahin mile
gulshan bhi hai gulab bhi rang-e-bahaar bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close