chehron pe likha hai koi apna nahin milta kya shahr hai ek shakhs bhi jhuta nahin milta chahat ki qaba mein to badan aur jalenge sahra ke shajar se koi dariya nahin milta main jaan gaya hun teri khushbu ki raqabat tu mujh se mile to gham-e-duniya nahin milta zulf-o-lab-o-rukhsar ke aazar to bahut hain tute hue khwabon ka masiha nahin milta main apne khayalon ki thakan kaise utarun rangon mein koi rang bhi gahra nahin milta dube hue suraj ko samundar se nikalo sahil ko jalane se ujala nahin milta